Koi chehra hua roshan na ujagar ankhain
Aina dekh rahi thin meri pathar ankhain
Le uri waqt ki andhi jinhen apne hamrah
Aaj phir dhund rahi hain wahi manzar ankhain
Phut niklin to kai shahar-e-tamanna dube
Ek qatre ko tarasati hui banjar ankhain
Us ko dekha hai to ab shauq ka wo alam hai
Apne halakon se nikal ai hain bahar ankhain
Tu nigahon ki zuban Khub samajhata hoga
Teri janib to utha karati hain aksar ankhain
Log marte na dar-o-bam se takara ke kabhi
Dekh lete jo ‘Kamal’ us ki samandar ankhain.
Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain..
Teri yaad se rishta kal be tha,
Teri yaad se rishta aaj be hai
Dil apna dukhta kal be tha,
Aur afsurda aaj be hai
Woh pyar jo hum tum se karte thay,
Woh pyar tu zinda ajj be hai
Tum door howe majboori mein,
Hum bichur gae is doori mein
Kabhi waqt miley tu chale ana,
khula Dil ka Darwaza ajj b hai
Wednesday, August 12, 2009
Koi chehra hua….
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment